donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Musarrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Darmya-n kuch na tha magar kuch tha *

Darmya-n kuch na tha magar kuch tha
Tu ne dekha na be khabar kuch tha

Jaane wo khwab they ki aansu they
Meri palkon pe raat bhar kuch tha

Meri nazron se chhup gaya kaise
Uske dil mein chhupa agar kuch tha

Kaise miltein wo manziliein mujhko
Raasta aur tha safar kuch tha

Jaane gham tha khushi ke hairani
Mera raste mein muntazir kuch tha

Koi gham ko chhupaye tha mujh mein
Maine dekha tha ik nazar kuch tha

Chahatei-n meri aur thein anjum
Zindgi se mila safar kuch tha

*************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 350