Bhar diya aankh mein khushiyo-n bhara manzar kaisa
Uski socho-n ne kiya chehra munawwar kaisa
Meri yaadei-n bhi kahi-n kho gayin meri tarha-n
Ho gaya jaane mere baad mera ghar kaisa
Thi bazahir badi khamosh meri tanhayi
Shor machta raha jaane mere andar kaisa
Kar diya pehle hamein kaanch sa nazuk tu ne
ab tere haath mein aey zindgi paththar kaisa
apne honto-n ki hansi yaad na aayi mujhko
ghamzada kar gaya mujhko ye muqaddar kaisa
***********************