kabhi wafae.n kabhi bewafaiya.n dekhi.n
mai.n un buto.n ki gharaz aashnaiya.n dekhi.n
hum uTh chale jo kabhi us gali ko wahshat mei.n
to us ghaDi na kiyu.n aur na khaiya.n dekhi.n
zahe nasib hai.n us ke ki jis ne wasl ki shab
gale mei.n apne wo nazuk kalaiya.n dekhi.n
ye satah-e-KHak hai kya razm-gah ka maidan
ki jis pe hoti hui nit laDaiya.n dekhi.n
gali mei.n us ki ye bazar-e-marg garm hua
ki dad KHwaho.n ki wan chaarpaiya.n dekhi.n
rakha na KHat kabhi aariz pe us pari-ru ne
ba-rang-e-aina nit wan safaiya.n dekhi.n
hunuz jite rahe hai.n to saKHt-jaani se
wagarna hum ne bhi kya kya judaiya.n dekhi.n
na hath aai mere 'mushafi' wo zulf-e-rasa
mai.n taleo.n ki bhi apne rasaiya.n dekhi.n
***************