donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae *

kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae
tere kuche mei.n jo hum aae bhi to Thahar Thahar ke chale gae
gae bagh mei.n kisi gul tale to waha.n bhi apna na ji laga
le ba-rang-e-ghuncha jamaiyan tujhe yaad kar ke chale gae
kahin ghash mei.n tha mai.n paDa hua suno aur qahr ki baat tum
mujhe dekhne ko jo aae wo to bigaD sanwar ke chale gae
karu.n mu o zulf ka kya baya.n ki ajib qissa hai darmiya.n
ye idhar ko sine pe aa rahi wo udhar kamar ke chale gae
ab anis hai na jalis hai na rafiq hai na shafiq hai
hum akele ghar mei.n paDe rahe sabhi log ghar ke chale gae
ye ajab zamane ki rasm hai ki jinho.n pe marte the hum sada
pas-e-marg aa wahi KHak mei.n hamei.n aah dhar ke chale gae
chaDhe koThe par to the 'mushafi' pa na daw par wo mere chaDhe
mai.n chaDhaun jab talak aasti.n uThe aur utar ke chale gae


********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 193