khaDa na sun ke sada meri ek yar raha
main rah-rawan-e-adam ko bahut pukar raha
qafas se chhoDe hai ab mujh ko kya tu ai sayyaad
chaman ke bich kaha.n mausam-e-bahaar raha
pas-az-wafat bhi apni hui.n na aankhe.n band
zi-bas ki tere hi aane ka intizar raha
KHuda ke waste ab is se hath uTha ki mere
jigar mei.n nam nahi.n ai chashm-e-ashk-bar raha
hua tu ghair se jab ham-kanar mere sath
kaha.n wo wada raha aur kaha.n qarar raha
karu.n jo chaak gareba.n ko apne hu.n majbur
ki mere hath mei.n mera na iKHtiyar raha
na sair-e-lala-o-gul hum ko kuchh nazar aai
ki nok-e-har-mizha par ya.n dil-figar raha
gali mei.n us ki gae aur waha.n se phir aae
tamam umr yahi apna karobar raha
ghazal ek aur bhi ai 'mushafi' suna de tu
koi kahe na ki banda ummid-war raha
****************