khel jate hai.n jaan par aashiq
jaan dete hai.n aan par aashiq
koi in galiyo.n se Talte hai.n
hum hai.n teri zaba.n par aashiq
KHwari un aashiqo.n ki we jo hue
tujh se na-qadr-dan par aashiq
taza aafat to ek ye hai ki hum
hue us nau-jawa.n par aashiq
jaan dene ko sud jaante hai.n
hum hain apne ziya.n par aashiq
is qadar girti hai kahe to ye barq
hai mere aashiya.n par aashiq
'mushafi' gar tu mard-e-kaamil hai
dil na rakh is jaha.n par aashiq
*****************