donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mustafa Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meray mehboob des ki galiyo'n *
Meray mehboob des ki galiyo'n
Tum ko aur apnaay dostoN ko salaam

Apnay zakhmi shabab ko tasleem
Apnay bachpan ke qahqahoN ko salaam

Umr bhar key liye tumharey paas
reh gaiey hai shaguftagi meri

Aakhri raat ke udaas diyoo
yaad hai tum ko bebasi meri

yaad hai tum ko jab bhulai thhey
Umr bhar ke keiye huway waadey

rasm o mazhab ki ek pujaran ne
eik chhandi ke devta ke lieye

jaaney is kaargahe hast meiN
Uss ko woh devta mila ke nahiN

Meri kalyon ka khoon pi kar bhi
Uss ka apna kanwal khila ke nahin

Aaj kal uskay apnay daman mein
Piyar ke geet hein ke paisey hain

Tum ko maloom ho to batlana
Uss ke aanchal ke rang kaise hain

Mujhh ko awaaz do ke subha ki oas
kiya mujhhey abb bhi yaad kart hai

meri ghar ki udaas chokhhat par
Kiya kabhhi chandni utarti hai?

With Thanks : Manzar Hussain akbar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 576