donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mustafa Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ko’ii ham-nafas nahiiN hai ko’ii raazdaaN nahiiN hai, *
Ko’ii ham-nafas nahiiN hai ko’ii raazdaaN nahiiN hai,
faqat ek dil thaa apnaa, so vo meh’rbaaN nahiiN hai,
(ham-nafas : companion; raazdaaN : confidant; faqat : only; meh’rbaaN : affectionate)
kisii aur Gham meN itnii Khalish-e-nihaaN nahiiN hai,
Gham-e-dil meraa rafiiqo, Gham-e-raayegaaN nahiiN hai,

(Khalish-e-nihaaN :secret pain; Gham-e-dil : suffering of the heart; rafiiqo : friends; Gham-e-raayegaaN : useless suffering)
merii ruuh kii haqiiqat mere aaNsuoN se puuchho,
meraa majlisii tabassum, meraa tarjumaaN nahiiN hai,

(ruuh : soul; haqiiqat : truth; majlisii : public; tabassum : smile; tarjumaaN : manifestation)
kisii aaNkh ko sadaa do, kisii zulf ko pukaaro,
baRii dhuup paR rahii hai, ko’ii saayebaaN nahiiN hai,

(sadaa : call; zulf : tresses; saayebaaN : shade)
inhiiN pattharoN pe chal kar agar aa sako to aao,
mere ghar ke raaste meN ko’ii kahkashaaN nahiiN hai.

(kahkashaaN : galaxy)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 623