donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mustafa Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rokta hai gham e izhaar se pindar mujhe, *
Rokta hai gham e izhaar se pindar mujhe,
Mere ashko'n se chhupa le mere rukhsar mujhe,
Dekh ai dasht e junu'n bhed na khulne paye,
Dhundhane aaye hai'n ghar ke dar o diwar mujhe,
Si diye honth usi shakh ki majaburi ne,
Jis ki qurbat ne kiya mahram e asrar mujhe,
Meri ankho'n ki taraf dekh rahe hai'n anjum,
Jaise pahchan gai ho shab e bedar mujhe,
Jins e wirani e sahra meri dukan may hai,
Kya kharidega tere shahar ka bazar mujhe,
Jaras e gul ne kai baar bulaya lekin,
Le gai raah se zanjir ki jhankaar mujhe,
Nawak e zulm utha dashna e andoh sambhal,
Lutf ke khanjar e benaam se mat maar mujhe,
Sari duniya may ghani raat ka sannata tha,
Sahan e zinda'n may mile subah ke aasar mujhe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 496