|
* Meri taswir may rang aur kisi ka to nahi, *
Meri taswir may rang aur kisi ka to nahi,
gher le'n mujhko sab aake mai'n tamasha to nahi,
Zindagi tujhse har ik sans pe samjhauta karu'n,
shauq jine ka hai mujhko magar itna to nahi,
Ruh ko dard mila dard ko ankhe'n na mili,
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi,
Sochte sochte dil dubne lagta hai mera,
zahan ki tah may `muzaffar` koi dariya to nahi. |
|