donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Warsi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lab e khamosh se izhar e tamanna chahe *
Lab e khamosh se izhar e tamanna chahe, 
Baat karne ko bhi taswir ka lahja chahe,

Tu chale sath to aahat bhi na aaye apani, 
Daramiya'n ham bhi na ho yu'n tujhe tanha chahe,

Zahiri ankho'n se kya dekh sakega koi, 
Apane bato'n pe bhi ham fash hona chahe,

Jism poshi ko mile chadar e aflak hamay, 
Sar chhupane ke liye wusa`at e sehara chahe,

Khwab may roye to ehasas ho sairabi ka, 
Ret par soye'n magar aankh may dariya chahe,

Bhent charh jau'n na mai'n apane hi khair o shar ki, 
Khun e dil zabt kare zakhm tamasha chahe,

Zindagi aankh se ojhal ho magar khatm na ho, 
Ek jaha'n aur pas e parda e duniya chahe,

Aaj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata ,
Ab khuda band se khairiyat e farda chahe,

Aise tairak bhi dekhe hain `muzaffar` hamane, 
Gharq hone ke liye bhi jo sahara chahe. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364