|
* YuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai, *
YuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai,
ek lamhe kii aoT bhii pardaa ho saktaa hai,
in aaNkhoN ke andar bhii darkaar haiN aaNkheN,
chehre ke piiche bhii chehraa ho saktaa hai,
kuch ruuheN bhii chaltii haiN baisaakhii lekar,
aadhaa shaKhs bhii puure qad kaa ho saktaa hai,
kaandhe kaRiiyal ke hoN aur gaThrii buRhiyaa kii,
bujh uThaa kar bhii jii halkaa ho saktaa hai,
mujhse milkar bhii vo meraa haal na puuche,
saavan bhii kyaa itnaa suukhaa ho saktaa hai,
itnii Khamoshii bhii acchii nahiiN hai logon,
sannaaToN se bhii hangaamaa ho saktaa hai,
is duniyaa meN naa-mumkin nahiiN “Muzaffar”,
duudh bhii kaalaa, shahd bhii kaRvaa ho saktaa hai
|
|