|
* Shola hu'n bharhkane ki guzarish nahi karta, *
Shola hu'n bharhkane ki guzarish nahi karta,
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta,
Girti hui diiwar ka hamdard hu'n lekin,
charhte hue suraj ki parastish nahi karta,
Mathe ke pasine ki mahak aaye to dekhe'n,
wo khu'n mere jism may gardish nahi karta ,
Hamdardi e ahabab se darta hu'n `muzaffar`,
mai'n zakhm to rakhta hu'n numaish nahi karta. |
|