donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naeem Masood
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* suna hai tum laut ao gai *
suna hai tum laut ao gai
zindgi ke sham sey pehley
barhtey aalam sey pehley
suna hai tum laut ao gai
nikhatoon ka sara sama"n laiker aana
meri zameen mra aasma'n laiker aana
wo batein jin sey rang bikhertey thay
wo lamhey jin sey noor nikhertey thay
wo sb oomeedein wo sari eidein
dhula huwa sara kehkashan laiker aana
suna hai tum laut aoo gay
maira balla mairi ghuria laiker aana tum
wo kahani , wo burria laiker aana tum
wo qaida , wo takhti , wo copy chahiey
wo saath qismat ke purriya laiker aana tum
suna hai tum laut aao gay
rehan udaas hai sara
sehan udas hai sara
wo choolaha wo peerrhi udas buhat hai
us nalkay ko , us jug ko pias buhat hai
pairhan k dhagoon mn chuban see aagae hai
terey bhoorey aur neeley jorrey ke aas buhat hai
suna hai tum laut ao gay !
meger baaton mein
sirf yaadoon mn
jaisey b aoo tum
merey hissey ke duaen baqi hein
meri kerney wali kuch iltijaen baqi hein
merey kuch serzad jurmoon ke
rehti sazaen baqi hein
merey sarey amloon ke
abhi intihaen baqi hein
suna hai tum laut aoo gay !!!
haan ! wo chaukhat ke
kuch qadam boosi baqi hai
suna hai tum laut ao gai !
maan tumhey tu aik rooti pakani the
ik amanat b kisi tak punhchani the
acha dair na kerna tum
iraadoon mn aatey jata rehna tum
merey kanoon mn gungunatey rehna tum
ik tara bana ker tamtamatay rehna tum
batkoon ,tu rasta dikhatay rehna tum
soya rahun , tu jagatay rehna tum
wo raaz sarey dabatey rehna tum
teergi mn chargh jalatey rehna tum
suna hai tum laut ao gay !!!!
khaboon mn sehlatay rehna tum
yadoon mn aatay rehna tum
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 539