donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naina Adil
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* IK AASHNAYEE PESHE NAZAR HAI BHI AUR NAHI *
IK AASHNAYEE PESHE NAZAR HAI BHI AUR NAHI,
YAANI HAME'N TUMHARI KHABAR HAI BHI AUR NAHI,
DUNIYA NA JHAANK LE KAHII'N BAHRE SHAYOOR MEI'N,
LAB PER TUMHAARA NAAM HAI PER HAI BHI AUR NAHI,
IZHAAR HO JANAB BHALA KAISE BARMALA,
JO HAAL HAI UDHAR WOH IDHAR HAI BHI AUR NAHI,
IK MAUJAE KHAYAL MEI'N DHAARO'N KE DARMIYAA'N,
KYA KUCHH HAI IS JAHAA'N MEI'N MAGAR HAI BHI AUR NAHI,
KUCHH IS QADAR TAVEEL HAI'NTRAH SHABI KE GHAM,
IMKAAN MEI'N HAMARE SAHAR HAI BHI AUR NAHI,
HONE LAGE HAI'N AKS HI SAARE DHUAA'N DHUAA'N,
JUZ AAYINE MEI'N RAQSE SHARAR HAI BHI AUR NAHI,
MILTE HI DHARHKA TUJH SE BICHHARHNE KA LAG GAYA,
AB AETBAARE SHAAM O SAHAR HAI BHI AUR NAHI,
KHAKAR FAREB TAAZAH SARAABO'N KE JAAL SE,
DASHTE NIGAAH ZERO BAR HAI BHI AUR NAHI,
AATA HAI CHHORH JAATA HAI WOH "NAINA" AAP HI,
CHASHME SEYAH GHAIR KA GHAR HAI BHI AUR NAHI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334