donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naina Adil
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ISHQ YEH KAISI RAH PE LE AAYA *
ISHQ YEH KAISI RAH PE LE AAYA,
KHUD KO DHOONDA ! JAHA'N ! TUJHE PAAYA,
CHASHME HAIRAA'N MEI'N JHAANKNE WAALE,
KOI RAUSHAN JABEE'N NAZAR AAYA,
YO'N ACHANAK WOH MIL GAYA MUJH KO,
JAISE SHIDDAT KI DHOOP MEI'N SAAYA,
USKI CHAAHAT TO USKI CHAAHAT HAI,
US SE MANSOOB HAR SITAM BHAAYA,
KHUD FAREBI KE AIK JUNGLE MEI'N,
KHAAR BHI MISLE GUL NAZAR AAYA,
HAMNE GUDRHI MEI'N LAAL DEKHE HAI'N,
HAM NE RESHAM KO KAM ASAL PAAYA,
ITNE AASEB THEY FIZAAYO'N MEI'N,
AADMI AADMI SE GHABRAAYA,
YEH JO THEY SHAHR AAYINO'N JAISE,
IN KO SHEESHA GARO'N   NE PATHRAAYA,
"NAINA" AKSAR KHEZAA'N RASIIDO'N KO,
HAM NE GULDASTAE WAFA PAAYA.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366