* Ban ke hamzad tera saath nibhaya mai'n ne *
Ban ke hamzad tera saath nibhaya mai'n ne
Zindagi ! tujh ko magar ghair hi payaa mai'n ne
Tum ko tanhaayee me'n tanhayee ka ehsas na ho
Gung aa'ngan me'n naya perh lagaya mai'n ne
Hasab mamool wahi jalte rahe lakho'n me'n
Jin chiragho'me'n lahoo apna jalaya mai'n ne
Jaane kab parhta hai taabeer ka patthar sar par
Khawab dekha hai wahi dekha dekhaya mai'n ne
"Naina" aawargiye shauq me'n ik umar kati
Baad muddat ke sahi ghar to banaya mai'n ne
Kohsaar, Bhikanpur-3, Bhagalpur-812001 (Bihar)
|