donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naresh Kumar Shad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai'n Roya Pardes Me'n Bhiga Man Ka Pyar, *
Mai'n Roya Pardes Me'n Bhiga Man Ka Pyar, 
dukh ne dukh se baat ki bin chitthi bin tar, 
chhota karke dekhiye jivan ka vistar, 
aankho'n bhar akash hai baho'n bhar sansar,

leke tan ke nap ko ghume basti ganv, 
har chadar ke gher se bahar nikale panv, 
sabki puja ek si alag-alag har riit, 
masjid jaye maulvi koyal gaye giit, 
puja ghar me'n murti mira ke sang shyam ,
jiski jitni chakri utne uske dam,

sato'n din bhagavan ke kya mangal kya piir, 
jis din soe der tak bhuka rahe fakir, 
achhi sangat baithakar sangi barale ruup, 
jaise milkar aam se mithi ho gai dhup,

sapna jharna nind ka jagi ankhe'n pyas, 
pana khona khojana sanso'n ka itihas, 
chahe gita vachiye ya parhiye quran, 
mera tera pyar hi har pustak ka Gyan.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 541