donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naresh Kumar Shad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye Zindagi *
Ye Zindagi 
aaj jo tumhare, 
badan ki choti-barhi naso'n mei'n, 
machal rahi hai, 
tumhare pairo'n se chal rahi hai, 
tumhari avaz mei'n Gale se nikal rahi hai, 
tumhare lafzo'n mei'n Dhal rahi hai,

ye zindagi 
jane kitni sadiyo'n se, 
yu'n hi shakle'n, 
badal rahi hai,

badalti shaklo'n, 
badalte jismo'n mei'n, 
chalta-phirta ye ik sharara, 
jo is gharhi, 
nam hai tumhara, 
isi se sari chahal-pahal hai, 
isi se roshan hai har nazara,

sitare toro ya ghar basao, 
qalam uthao ya sar jhukao,

tumhari ankho'n ki roshni tak ,
hai khel sara,

ye khel hoga nahi dubara, 
ye khel hoga nahi dubara,

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 544