donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naseem Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhoop ke sahrao'n me'n mosalsal chalke mosafat poori ki *
Dhoop ke sahrao'n me'n mosalsal chalke mosafat poori ki
Mutthi bhar chhao'n ke liye ta umar reyazat poori ki

Ahle karam ne aik bhikaran par yeh anayat poori ki
Roti, paani, sikke diye aur shab bhar chahat poori ki

Hogi rehayee dhani mujrim ki baat to kal se hi yeh tai thee
Aur imroz to rasman bas munsif ne sama'at poori ki

Pahle peyase shokh hawa ne band qobaye gul khola
Phir hoto'n ko chooma aur har gharz-o-ghayat poori ki

Teri reyazat chah mei'n teri jag ki saari khushi chhorhi
Surat go tum "Akhtar" ne jeevan ki hekayat poori ki

J27/6, Jainpura, Varanasi-221001 (U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 452