donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nashtar Khanquahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taameer hamne ki thee hami'n ne gira diye *
Taameer hamne ki thee hami'n ne gira diye
Shab ko mahal banaye sawere gira diye

Ab tak hamaari umar ka bachpan nahie'n gaya
Ghar se chale thhe, jeb ke paise gira diye

Patthar se dil ki aag sanmbhali nahi'n gayee
Khayee zarasi chot, patange gira diye

Barso'n  huye the jin ki tahe'n kholte huye
Apni nazar se ham ne woh chehre gira diye

Shahar-e-tarab me'n raat hawa tez thee bahut
Kaa'ndho'n se mahwisho'n ke dopatte gira diye

Taab-e-Nazar ko hausle milna hi tha kabhi
Kiyo'n tum ne ehtayaat me'n parde giradiye

373, Chamanda Road, B-4, Bijnor (U.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 424