donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Amrohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Teri ankhiyoN ko takeiN roz ghazalaN janaN *
Teri ankhiyoN ko takeiN roz ghazalaN janaN
Aur tire lab se jale laal e badakhshaN janaN

Is qadar sakht hai mujh par gam e douraN janaN
Gardish e waqt ke hathoN se hooN raqsaN janaN

Sar hai sajde meiN magar lab pe hai janaN janaN
Hum sa kafir na koi hoga MusalmaN janaN

Dard e dil, dard e jigar jaan na le le meri
Ik tera lams hai is dard ka darmaN janaN

Raah rou kitne rah e shouq meiN himmat haare
Manzil e ishq ka rasta nahiN aasaN janaN

Apni har chah ka ghonta hai gala khud maine
Dil meiN baqi nahiN ab koi bhi armaN janaN

Khouf e duniya se maiN khamosh to rehta hooN magar
Dil ki dhadkan se sada aaye hai janaN janaN

Sar e shoreeda jhuka hai na jhukega Nasir
Humne duniya ka uthhaya nahin ihsaN janaN.

Nasir Amrohvi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408