donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karta use beqarar kuch der, *
Karta use beqarar kuch der,
hota agar ikhtiyar kuch der,
kya royein fareb-e-aasmaan ko,
apna nahin aitbaar kuch der,
aankhoN mein kati pahaar si raat,
so ja dil-e-beqaraar kuch der,
ai shehar-e-tarab ko jaane waloN,
karna mira intizaar kuch der,
bekaifi-e-roz-o-shab musalsal,
sarmasti-e-intizaar kuch der,
takleef-e-gham-e-firaaq dayem,
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der,
ye guncha-o-gul hain sab musafir,
hai kaafila-e-bahaar kuch der,
dunyaa to sada rahegi Nasir,
ham log hain yaadgaar kuch der.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408