donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* O ! mere masruuf Khudaa, *
O ! mere masruuf Khudaa,
apnii duniyaa dekh zaraa,
(masruuf : busy)
itnii Khalqat ke hote,
shah’roN meN hai sannaaTaa,
(Khalqat : creations, people; shah’roN : cities; sannaaTaa : silence)
jhoNpRii vaaloN ki taqdiir,
bujhaa bujhaa saa aik diyaa,
(jhoNpRii : hut; taqdiir : destiny; bujhaa : extinguished; diyaa : lamp)
Khaak uRhaate haiN din raat,
miiloN phail gaye sehraa,
(Khaak : dust; miiloN : miles; sehraa : desert)
zaaGh-o-zaghan ki chiiKhoN se,
suunaa jangal guuNj uThaa,
(zaaGh : crow; zaghan : kite; chiiKhoN : shouts)
suuraj sar par aa pahuNchaa,
garmii hai yaa roz-e-jazaa,
( roz-e-jazaa : day of the judgment. According to Islamic beliefs.)
pyaasii dhartii jaltii hai,
suukh gaye bahte daryaa,
fasleN jal kar raakh hu’iiN,
nagrii nagrii kaal paRaa,
O ! mere masruuf Khudaa,
apnii duniyaa dekh zaraa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383