donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hoti hai tere naam se wahshat kabhi kabhi, *
Hoti hai tere naam se wahshat kabhi kabhi,
barham hui hai yu'n bhi tabiyat kabhi kabhi,

ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab,
milti hai zindagi mai'n ye rahat kabhi kabhi,

tere karam se ai alam-e-husn-e-aafri'n,
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi,

dil ko kaha'n nasib ye taufiq-e-iztirab,
milti hai zindagi mai'n ye rahat kabhi kabhi,

josh-e-junu'n mai'n dard ki tugyaniyo'n ke sath,
ashko''n main dhal gai teri surat kabhi kabhi,

tere qarib rah ke bhi dil mutmain na tha,
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi,

kuchh apna hosh tha na tumhara khayal tha,
yu'n bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi,

ai dost ham ne tark-e-muhabbat ke bawajud,
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418