donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tu hai ya tera saya hai, *
Tu hai ya tera saya hai,
bhes judai ne badla hai,

dil ki haweli par muddat se,
khamoshi ka qufl para hai,

chikh rahe hain khali kamre,
sham se kitni tez hawa hai,

darwaze sar phor rahe hai'n,
kaun is ghar ko chor gaya hai,

hichki thamti hi nahi 'Nasir'
aaj kisi ne yaad kiya hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388