donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dayaar E dil ki raat meN charaaGH saa jalaa gayaa *
Dayaar E dil ki raat meN charaaGH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa

JudaaioN ke ZakHm dard E Zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi NeeNd aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa

Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa

Pukarti haiN FursateN kahaaN gayiN wo SohbateN
ZameeN nigal gayi unheN yaa Aasmaan khaa gayaa

Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa

Yeh kis kHushi ki Ret par GHamoN ko NeeNd aa gayi
Wo lehr kis taraf gayi ye maiN kahaaN samaa gayaa

Gaye dinoN ki Laash par paRe rahoge kab talak??
UTho amal-kasho  K  Aaftaab sar pe aa gayaa
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 503