donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasreen Syed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai yaad ab tak nazar maiN jugnoo, laboN maiN rangeeN gulaab rakhna *
Hai yaad ab tak nazar maiN jugnoo, laboN maiN rangeeN gulaab rakhna
Mehektey phooloN, shafaq key rangoN key apni palkoN maiN khawab rakhna

JunooN ko kerna raheene minnat, nafas nafas ko sharaar ker key 
Lahoo maiN aatish samaitey rehna, ragoN maiN behti shraab rakhna

wisaal,e janaaN key arghawaani sey rang Bharna fishaar,e khooN maiN
Suroor.e Sehbaa saa jism o jaaN maiN, khumaar saa be,hisaab rakhna

Kisi sey izhaar.e haal ker key khood apni juraat pe rehna hairaN
Woh mo,jizoN per yaqeen laana, woh walwaloN per shabaab rakhna

Woh raag deepak sey soz laina, saraapa kaif.e malhaar rehna
Woh jism o jaaN ko sarod karna, woh tan badan ko rubaab rakhna 
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326