|
* Ek guzarish hain tujhse yaar mujhe, *
Ek guzarish hain tujhse yaar mujhe,
Naam lekar kabhi pukar mujhe....
Laut kar wo kabhi na aaega,
Phir bhi rehta hain intezaar mujhe...
Ek zamane se tarasti hu,
Koi karta nahi hai pyar mujhe...
Maine usse fareb khayi hain,
Tha kabhi jispar aitbaar mujhe...
Mai sadaen laga rahi thi jise,
Mud kar dekha na ek baar muje...
Mere khuwabo me aake woh RUMY,
Kar gaya firse beqarar mujhe.......
Naushaba Idiris Rumy
Masjid Gali
Pakaribarawah
Nawada
Bihar-805124
********
|
|