donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nazeer Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koii laa sako to laao meraa vo hasiin zamaanaa *
Koii laa sako to laao meraa vo hasiin zamaanaa
jise main ne kuchh na samajhaa jise main ne kuchh na jaanaa

mujhe Gham nahiin hai is kaa ki badal gayaa zamaanaa
merii zindagii ke maalik kahiin tum badal na jaanaa

mere paas vaqt thodaa mere vaaqyaat lambe
kahaaN sar-guzasht apanii na suno meraa fasaanaa

mujhe yaad aaj bhii hai jo karam huaa hai mujh pe
mujhe Gham abhii hai taazaa mere saamane na aanaa

ye andherii raat men tum kahaan jaa rahe ho tanhaa
na tumhaarii raah roke kahiin be-adab zamaanaa

jahaan Thahare qalb-e-muztar vo "Nazeer" merii manzil
jahaan ruk ke saans le luun vahiin ab meraa Thikaanaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383