donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaane vaaloN se raabitaa rakhnaa, *
Jaane vaaloN se raabitaa rakhnaa,
dosto rasm-e-faatihaa rakhnaa,
(raabitaa : contact; faatihaa : a prayer for the dead)
ghar kii ta’amiir chaahe jaisii ho,
is meN rone kii kuch jagah rakhnaa,
(ta’amiir : construction)
masjideN haiN namaaziyoN ke liye,
apne ghar meN kahiiN Khudaa rakhnaa,
(namaazii : people who pray)
jism meN phailne lagaa hai shah’r,
apnii tanhaaiyaaN bachaa rakhnaa,
(tanhaa’ii : loneliness)
‘umr karne ko hai pachaas ke paar,
kaun hai kis jagah, pataa rakhnaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368