donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kahi'n Chahat Thi Divar-O-Dar They Kahi'n, *
Kahi'n Chahat Thi Divar-O-Dar They Kahi'n,
mila mujhko ghar ka pata der se,
diya to bahut zindagi ne mujhe,
magar jo diya vo diya der se,

hua na koi kaam mamul se,
guzre shab-o-roz kuchh is tarah,
kabhi chaand chamka Ghalat vaqt par,
kabhi ghar me'n suraj uga der se,

kabhi ruk gaye rah me'n besabab,
kabhi vaqt se pahle ghir ai shab,
huye band darvaze khul khul ke sab,
jaha'n bhi gaya mai'n gaya der se,

ye sab ittfaaq ka khel hai,
yahi hai judai yahi mel hai,
mai'n murh murh ke dekha kiya dur tak,
bani vo Khamoshi sada der se,

saja din bhi raushan hui raat bhi,
bhare jaam laharai barasat bhi,
rahe sath kuch aise halat bhi, 
jo hona tha jaldi hua der se,

bhatakti rahi yu'n hi har bandagi,
mili na kahi'n se koi raushani,
chhupa tha kahi'n bhirh me'n aadmi, 
hua mujh me'n raushan Khuda der se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 379