donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Divar-O-Dar Se Utar Ke Parchhaaiya'n Bolti Hai'n, *
Divar-O-Dar Se Utar Ke Parchhaaiya'n Bolti Hai'n, 
koi nahi'n bolta jab tahaiya'n bolti hai'n,

pardes ke raste me'n lut Te kaha'n hai'n musafir, 
har perh kahta hai qissa purvaiya'n bolti hai'n,

mausam kaha'n manta hai tahzib ki bandhisho'n ko, 
jismo'n se bahar nikal ke angrhaiya'n bolti hai'n,

sunne ki mohlat mile to avaz hai pat jharo'n me'n, 
ujrhi hui bastiyo'n me'n abaraiya'n bolati hai'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398