|
* Dhup Mei''n Nikalo Ghatao'n Mei'n Naha Kar Dekho, *
Dhup Mei''n Nikalo Ghatao'n Mei'n Naha Kar Dekho,
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho,
vo sitara hai chamakne do yu'n hi ankho'n mei'n,
kya zaruri hai use jism banakar dekho,
pattharo'n mei'n bhi zuba'n hoti hai dil hote hai'n,
apne ghar ki dar-o-divar saja kar dekho,
fasala nazaro'n ka dhoka bhi to ho sakata hai,
vo mile ya na mile hath barha kar dekho.
|
|