donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekha Hua Sa Kuchh Hai To Socha Hua Sa Kuchh, *
Dekha Hua Sa Kuchh Hai To Socha Hua Sa Kuchh, 
har vaqt mere sath hai uljha hua sa kuchh,

hota hai yu'n bhi rasta khulta nahi kahi, 
jangal-sa phail jata hai khoya hua sa kuchh,

sahil ki gili ret par bacho'n ke khel-sa, 
har lamha mujh me'n banta bikharta hua sa kuchh,

fursat ne aaj ghar ko sajaya kuchh is tarah, 
har shay se muskurata hai rota hua sa kuchh,

dhundhali si ek yad kisi qabr ka diya, 
aur mere as-pas chamkta hua sa kuchh.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326