donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apni Marzi Se Kaha'n Apne Safar Ke Ham Hai'n, *
Apni Marzi Se Kaha'n Apne Safar Ke Ham Hai'n, 
rukh havao'n ka jidhar ka hai udhar k ham hai'n,

pahle har chiiz thi apni magar ab lagta hai, 
apne hi ghar mei'n kisi dusare ghar ke ham hai'n,

vaqt ke sath hai mitti ka safar sadiyo'n tak, 
kis ko malum kaha'n ke hai'n kidhar ke ham hai'n,

chalte rahte hai'n ke chalna hai musafir ka nasib, 
sochte rahte hai'n ke kis rah guzar ke ham hai'n,

gintiyo'n mei'n hi gine jate hai'n har daur mei'n ham, 
har qalamkar ke benaam khabar ke ham hai'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 311