|
* Zahmato'n Ko Kaha'n Karb Se Farar Mila, *
Zahmato'n Ko Kaha'n Karb Se Farar Mila,
jise nigah mili us ko intazar mila,
vo koi raah ka patthar ho ya hasi'n manzar,
jaha'n se rasta Thahara vahi'n mazar mila,
koi pukar raha tha khuli fizao'n se,
nazar uthai to charo'n taraf hisar mila,
har ek sans na jane thi justaju kis ki,
har ek dayar musafir ko bedayar mila,
ye shahar hai ki numaish lagi hui hai koi,
jo admi bhi mila banake ishtahar mila.
|
|