donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nida Fazli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apnii marzii se kahaaN apne safar ke ham haiN *
Apnii marzii se kahaaN  apne safar ke ham haiN

RuKh havaaoN kaa jidhar kaa hai udhar ke ham haiN

Pahle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai

Apne hii ghar meN kisii duusre ghar ke ham haiN

Vaqt ke saath hai miTTii kaa safar sadiyoN se

Kisko maaluum kahaaN ke haiN kidhar ke ham haiN

Chalte rahte haiN k chalnaa hai musaafir kaa nasiib

Sochte rahte haiN  kis raahguzar ke ham haiN

GintiyoN meN hii gine jaate haiN har daur meN ham

Har qalamkaar kii benaam khabar ke ham haiN
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376