* Ham musalman = nahin musalman *
Ham musalman = nahin musalman
Voh
Jo kabhi nahi rahe
Musalmanoon ke mahalle me
Gandagi ke dar se
Jinhon ne ahmad , mohammad , ya ali
Nahi lagaya bachhon ke nam ke sath
Makka ya madina ki jagah
Filmi adakaron ya adaakarauon ki
Tassuraing room me
Paren lagarkhi hain
Dupatta tak nahi wazo kate waqt
Kitni bar dhote hain hath
Koon tha un ke ajdad me
Masjid jane wala aakhri saksh
Jinhen yad nahi
Quraan ki ek aayat tak
Jo kabhi nahi dare khuda se bhi
Aaj dubke pare hain
Apne hi ghar ke kisi kone me
Apni pahchan zahir hone ke dar se !
|