donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noon Meem Rashid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* umar bhar ka de gaya koi situm-gar sochna *
umar bhar ka de gaya koi situm-gar sochna
us se mil kar sochna us se bichhar kar sochna

jis ko dekho.n us ke chehrey par lakeerain soch ki
jaisy ho jaey kisi shey ka muqaddar sochna

shakh-i-gul hota to deewaro.n se tuj ko jhankta
ab to sab ko dekhna aur ankh bhar kar sochna

raat khwabo.n main kai dhundley manazir dekhna
din ki tanhai main un khwabo.n ka aksar sochna

toot-ta rehta hoon pehro.n main tazad-o-karb se
apney bahr muskarana apney andar sochna

main parinda hoon kisi din shakh se urr jao.n ga
phir gai guzri ruton ka moj-i-sarsar sochna
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 586