|
* Zinda dalane qaum ka ehsas mar gaya *
Zinda dalane qaum ka ehsas mar gaya
Mera wojood khak ki soorat bikhar gaya
Dosh haw ape aaya sandesa watan se yeh
Ghar ghar ubalte khoon ka dariya guzar gaya
Saare chaman me'n nafrat -o- tahqeer ug gayee
Khud ru yeh paude kaat do warna yeh ghar gaya
Urhne lagi hai'n ismat-o-iffat ki dhajjiya'n
Ae shahar aarzoo tera husne nazar gaya
Tukrho'n me'n bat rahi hai akhuwat ki dastaa'n
Logo! Mohabbato'n ka woh jazba kidhar gaya
Aks shakista ban gaya "Noori" tumhara aks
Aayena torhta hua aayena gir gaya
31-A, South Road, Southal, Middlesex- UBI, ISW (U.K)
|
|