donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tumne to kah diyaa ke muhabbat nahiiN milii *
Tumne to kah diyaa ke muhabbat nahiiN milii,
mujh ko to ye bhii kahne kii fursat nahiiN milii,
niiNdoN ke der jaate ko’ii Khvaab dekhte,
lekin diyaa jalaane kii fursat nahiiN milii,
tujh ko Khair shah’r ke logoN kaa Khauf thaa,
aur mujh ko apne ghar se ijaazat nahiiN milii,
phir iKhtilaaf-e-raaye kii suurat nikal paRii,
apnii yahaaN kisii se bhii aadat nahiiN milii,
be-zaar yuuN hu’e ke tere ahd meN hamiiN,
sab kuch milaa, sukuuN kii daulat nahiiN milii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342