donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Humei'n yeh rooz-o-shub ka silsil achha nahi lugta *
Humei'n yeh rooz-o-shub ka silsil achha nahi lugta,

Kisi se baat kerna ho' koyi bhi zakhm bhurna ho,

Kabhi beyhaal hoker koey jana se guzarna ho,

Tumhari yaad mein rehna ho keh khud se mukurna ho,

Kisi harf-e-tasali se yeh dil ka zakhm bhurna ho,

Mohababt ki dowa honton pe rukh ke muskurana ho,

Darakhtun pe tumahra naam likh ker bhool jana ho,

Kisi beykhawaab shub mein chashm-e-weraan ko sulana ho,

Tumhari kushboowon se kheema-e-jaaa'n ko sajana ho,

Ya phir shehur-e-sakoot-e-shaam-e-ghum mein geet gana ho,

Yunhi beywajha keefiyut mein ashkon ko bahana ho,

Kisi jazbey ka bhi chehra humein sacha nahi lugta.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355