|
* Bila jawaz rakhe'n khud ko beqaraar bhi kiu'n *
Bila jawaz rakhe'n khud ko beqaraar bhi kiu'n,
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiu'n,
Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai,
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiu'n,
Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai,
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiu'n,
Agar bhulaye huye usko aik umr hui,
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiu'n,
Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey,
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiu'n,
Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka,
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiu'n, |
|