donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chalo ham seepi'an chuNney kisi sahil pe chalte hein *
Chalo ham seepi'an chuNney kisi sahil pe chalte hein 
Jahan paon ke neechey rait ki halki si larzish....muskurati ho 
Hawa ki narmion mein...tittliyon ki dolian utrein 
kisi nanhey se bachey ki siah maasoum aankhein be.yaqeeni se, 
samander ke sulagte panion se bat kerti hon 
Jahan per dil, mohabbat ke gharondon ki naee taameer kerte hon 
Doa'on aur wafa'on ke huner taskheer karte hon 
Yunhi athkeliyan karte huey, aabi parinde geet gate hon 
Darakhton par bikharti sham ki, gehri munderon par 
diye se jhilmilate hon 
Jahan par dour tak..wo badbanon se saji sab kashtian 
lehron pe jese raqs karti hon 
Aur apni mastiyon mein hoslon ka ism perhti hon 

Inhi mehke gulabi mosmon mein khawab ke manzer sajane ko 
Sunehri khushbo'on ki barishon mein bheeg jane ko 
Chalo na ! ...........Ham bhi chalte hein 
Ab apne khof ki dehleez se baher nikalte hein 
Chalo ham seepi'an chuNney kisi sahil pe chalte hein 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440