donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri beti! *
Meri beti!
Meray honay ki dalil
Sach yeh hi hai..tu meri

Kisi takhleek kay be missal hunar se mehroom
Zard si kaukh ka hissa to nahiin hai laikn

Teray hi lams kay masoom tuqadas kay tufeel
Main en maaon kay tafakhar ka sukon paaya hai
Soch ne ik naya ndaaz-e- namon paaya hai

Main juda tujh se hui tu yub mehsoos hua
Kay meri maan bhi mujh se yun bichar jaanay per
Raaat bhar kaise tarapti hogi
Bat be baat pe sisakti hogi
Uska aanchal bhi sitaaron kay talay
Meri tauqer ki khawahish kartay
Subah tak phaila hi rehta hoga
Who bhi tu meri tarhan!
Apni beti kay mqadar kay liye
Kabhi mehtaab kabhi jugnoo se

Roshni mangti hogii

Mujhko bhi teray har ik khawab ko paanay ki talab ne beti!
Aaj yehj wasaf dua sikhlaya
Kis ko khte hain wafa samjhaya

Meri beti
Meri tazeen-e-haya

Tu na hoti tu kahan yeh bheed khulta mujh per
Kyun meray pyaaray nabi(s.a.w)saeedna
Apni beti kay liye chasham-e-rah rehte the

Jab mulaaqaat ko who aati thi
Chandni jaisi dua dete the
Aur takreem-o-pazeerayi ko
Apni sau rehmaton waali kamli
Aisi dharti pe bicha dete the
Aasmaan jaisay meherbaan hua karta tha

Meri beti!
Meray rab ki tasweer
Tera is rooh setazeem ka rishta bhi
Ajab rishta hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 433