donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab bhi shair rahoon *
Ab bhi shair rahoon
Kis ki khatir rahoon 
koun hay jo merey lafz-o- maani ke aankhoon say bethey hoay
Aansoon main chupey dard chunta phiray 
khwaab bunta phiray 
koun hay jo merey khoon hotay hoay dil ki aawaz par 
apni aawaz kay hont rakhta phiray 
koun aankhain meri dekh kar ye kahay 
"kiya howa jaan-e- jaan "
kab sey soee nahi 
iss sey pehley tu tum itna roi naheen 
aab bhala kis liay khoob surat se aankhain pareshaan hain 
apni haalat pay khud itni hairan hain" 
kyoon bechain ho? 
kyoon betaab ho? 
mousam-e-hijar ke sham-e- tanhai main 
Aabla paii main 
koun ho humsafar, gard hay rehguzar 
koi rasta nahi, koi rahi nahi 
dar pay dastak ke koi gawa'hi nahi 
dil kay veraan-o- barbaad safhaat par 
jis qadar lafz likhay thay bekaar hain 
aik lambi judaai kay aasaar hain 
sochti hoon kay ab
in khayalon say khvabon say bahir rahon 
kiun main shair rahon 
kis ki khatir rahoon
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410