donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna *
Mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392