donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noshi Gilani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ajeeb khawish hai sehar walo'n say chhup chhupa ke kitaab 'likhoo'n *
Ajeeb khawish hai sehar walo'n say chhup chhupa ke kitaab 'likhoo'n,
Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoo'n,

Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari ankahin galay milee'n thee'n,
Mai'n kis tarha'n ab mohabbato'n ki tish nage ke azaab likhoo'n,

Tumhi nay meray ujrhe rasto'n pay khawisho'n ke diye jalaye,
Tumhi nay chaha tha ke khushk hontho'n say chahoo'n ke gulaab likhoo'n,

Kabhi woh din they k neend aankho'n ki sarhado'n say paray paray thi,
Magar ab jub bhi sona chahoo'n,tumhari yaadao'n ke khawab likhoo'n,

Mai'n tanha larki dayar-a-shab mai'n jaloo'n sach ke diea kaha'n tak,
Siyah karoo'n ki saltanat mei'n mai'n kis tarha aaftab likhoo'n,

Zidatoo'n ke jinoon main jis ke qadan lahoon say rangay hwea hain,
Woh meray bas main nahi hain logon! ke unko izaat-a-maab likhoon,

Yahi bohat ha ke in laboon ko sada say mehroon kar ke rakh doon,
Magar ya kaisi muslahat ha samandaroon ko saarab likhoon.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376