donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Obaidullah Aleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ajeeb thi woh Ajab tarhaan chahta tha mein *
Ajeeb thi woh Ajab tarhaan chahta tha mein
woh baat karti thi aur khawab daikhta tha mein

Visaal ka hoo keh uss kay firaaq ka mousam
woh lazattein theen kay andar say toot'ta tha mein

charha howa tha woh nasha keh kam na hota tha
hazaar baar ubharta tha doobta tha mein

badan ka khail theen uss ki mohabbatein laykin
jo bhaid jisam kay thai jaan say khoolta tha mein

phir iss tarhaan kabhi soha na iss tarhaan jaga
keh rooh neend mein the aur jagta tha mein

kahaan shakasat hoi aur kahaan silla paya
kissi ka ishq kissi say nibhaata tha mein

mein ehal e zar kay muqabal mein tha faqat shayer
magar mein jeet gaya lafaz haarta tha mein
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400